Shame Gurbat hai Ghua Faila hua hai
Har traf baan mai andera cha raha hai
Ak yatima jis ka daman jal chuka hai
khoon kano se musalsal bahe raha hai
Haye Baba khae ky roti ja rahi hai
aur maktal se sada ye aa rahi hai
Ya buniya Ya Sakina Aa mere jaa aa sakina
Ya buniya Ya Sakina Aa mere jaa aa Sakina
1.
Har traf jangal mai chaya hai andhera
Tu kahi baan mai batak jaye na rasta
mere is awaz ka ly kr sahara
Ye meri beti meri janib chali aa
2.
Chen se sona mayasar ab na hoga
Aaj se ye khaak he bistar hai tera
Ye ajiyat ka safar lamba hai bibi
Aa jara kuch der mere pass so jaa
3.
Aye Yatima aye meri ghamkar aajha
Ab kahaa hoga tera didaar a jaa
fir kahaa pauga mai tujko ye pyari
Aa tujhe ji bhar ky kr lu pyar a jaa
4.
Kr rahi hai tu meri gurbat ka matam
Kr raha hu mai teri halat ka matam
Aa meri lakhte jigar a pass mere
Mil ky hum dono kare furkat ka matam
5.
Apne Dil ki kuch to mai hasrat nikalu
Julam se kuch der he tujha ko bacha lu
Ye mera sina to tero se bhara hai
Aa tujhe mai apne pahlu mai sula lu
6.
Baap ky nazdik pauchi jb yateema
Ho gye hyeran tha manjar he aye sa
Der tak to ye samjha paye na dukya
Laash pe hai teer ya tero pe lasha
Chikh ky rone lagye wo ghaam ki mari
Baap ky talwo py mua rakha kr pukari
Baba || Baba || Baba
7.
Aap kya bichre Qayamat Aa gye hai
Julm hai zoro zafa hai baybasi hai
Aag hai jalte huye khaimai hai baba
khouf se shye mai huye bache hai baba
Be Rida be aasra ayele haram hai
jhalimo ky taziyane aur hum hai
Har nafas hum ko sataya ja rha hai
Jis ka ja he wo ake marta hai
Na tasalli na dilasa dy rha hai
Jo bhi ata hai wo eza dy rha hai
Kya Yatemi ka yahi matlab hai baba
Ap ka katil mujhe mare tamacha
Utha ky dekho meri halat kya huye hai
Ap ki payri Sakina ro rahi hai
Haye ro rohi hai....... 2
8.
Aye Nadeem us ghamzada ky bain sun kr
Laash Sarwar ki Tadap utti zami pr
Di Sada sha ne ye waqate imteha hai
Sabr kr bas sabr kr aye meri dukhtar